Construction Project Manager, Pakistan. Building work and Repairs.

Album/Movie:Anpadh

Scene/Song: Aapki Nazroon Ne Samjha
Artist(s): Lata Mangeshkar

Lyrics:

Aap ki nazron ne samjha pyaar ke kaabil mujhe
Dil ki ae dhadkan thaher jaa, mil gayi manzil mujhe
Aap ki nazron ne samjha
Ji hamein manzoor hai aap ka yeh faisla - 2
Keh rahi hai har nazar banda parvar shukriya
Hanske apni zindagi mein kar liya shaamil mujhe
Dil ki ae dhadkan thaher jaa, mil gayi manzil mujhe
Aap ki nazron ne samjha
Aap ki manzil hoon main, meri manzil aap hai - 2
Kyoon main toofaan se darroon, mera saahil aap hai
Koi toofaanon se keh de, mil gaya saahil mujhe
Dil ki ae dhadkan thaher jaa, mil gayi manzil mujhe
Aap ki nazron ne samjha
Pad gayi dil par mere aap ki parchhaaiyaan - 2
Har taraf bajne lagi saenkdon shehnaaiyaan
Do jahaan ki aaj khushiyaan ho gayi haasil mujhe
Aap ki nazron ne samjha pyaar ke kaabil mujhe
Dil ki ae dhadkan thaher jaa, mil gayi manzil mujhe
Aap ki nazron ne samjha

Video Gallery

Video Library

Bally Sagoo Music Videos Lata Mangeshkar Atif Aslam Alka Yagnik Abrar Ul Haq Mahendra Kapoor Shaan Hans Raj Hans Daler Mehndi Adnan Sami Khan Javed Ali Himesh Reshammiya Gurdas Maan Harbajan Maan Baba Sehgal